Talluqat Ke Sare Diye Bujhe Hue The

talluqat ke sare diye bujhe hue the

ajib haal tha jab un se rabte hue the

hamare aks ke pahlu se ho gae KHaif

hamare samne jo KHud ke aaine hue the

nigah raat ka zina talash karti rahi

sulagte KHwab kisi taq par rakhe hue the

KHushi mili to masafat ka gham bhula baiThe

go rah-e-zist pe yun kitne aable hue the

wo tirgi ka lahu tha ki chandni ka surur

sahar ke nam kai zaiqe likhe hue the

mere wajud ko taqsim kar diya sab ne

zamin ke jism pe kuchh aise sanehe hue the

barah-e-rast kisi ka nishan nahin 'amir'

so falsafe dar-o-diwar par saje hue the

(848) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Talluqat Ke Sare Diye Bujhe Hue The In English By Famous Poet Amir Nazar. Talluqat Ke Sare Diye Bujhe Hue The is written by Amir Nazar. Read famous Poem Talluqat Ke Sare Diye Bujhe Hue The for youth and Student by Amir Nazar. Free Download Talluqat Ke Sare Diye Bujhe Hue The in PDF.