Bhule Se Bhi Na Jaanib-e-aghyar Dekhna

bhule se bhi na jaanib-e-aghyar dekhna

shart-e-wafa yahi hai KHabardar dekhna

manind-e-shama baiTh ke tai ki rah-e-adam

yaro mojaza hai ki raftar dekhna

kahti hai ruh dil se dam-e-naza hoshiyar

hum to adam ko jate hain ghar-bar dekhna

allah re iztirab-e-tamanna-e-did-e-yar

fursat mein ek nigah ki sau bar dekhna

'taslim' ru-e-yar ko hasrat ki aankh se

achchha nahin hai shauq mein har bar dekhna

(755) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bhule Se Bhi Na Jaanib-e-aghyar Dekhna In English By Famous Poet Amirullah Tasleem. Bhule Se Bhi Na Jaanib-e-aghyar Dekhna is written by Amirullah Tasleem. Read famous Poem Bhule Se Bhi Na Jaanib-e-aghyar Dekhna for youth and Student by Amirullah Tasleem. Free Download Bhule Se Bhi Na Jaanib-e-aghyar Dekhna in PDF.