Chaarasaz-e-zaKHm-e-dil Waqt-e-rafu Rone Laga

chaarasaz-e-zaKHm-e-dil waqt-e-rafu rone laga

ji bhar aaya dida-e-sozan lahu rone laga

bas ki thi rone ki aadat wasl mein bhi yar se

kah ke apna aap haal-e-arzu rone laga

KHanda-e-zaKHm-e-jigar ne dil dukhaya aur bhi

jis ghaDi TuTa koi tar-e-rafu rone laga

sadma-e-be-rahmi-e-saqi na uTTha bazm mein

ji bhar aaya dekh kar KHali subu rone laga

tha adam mein khinch laya aab-o-dana jab yahan

dekh kar bechaargi se chaar su rone laga

aa gaya kabe mein jab mehrab-e-abru ka KHayal

baiTh kar 'taslim'-e-KHasta qibla-ru rone laga

(774) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chaarasaz-e-zaKHm-e-dil Waqt-e-rafu Rone Laga In English By Famous Poet Amirullah Tasleem. Chaarasaz-e-zaKHm-e-dil Waqt-e-rafu Rone Laga is written by Amirullah Tasleem. Read famous Poem Chaarasaz-e-zaKHm-e-dil Waqt-e-rafu Rone Laga for youth and Student by Amirullah Tasleem. Free Download Chaarasaz-e-zaKHm-e-dil Waqt-e-rafu Rone Laga in PDF.