Mazi Ke Jab ZaKHm Ubharne Lagte Hain

mazi ke jab zaKHm ubharne lagte hain

aankhon se jazbaat bikharne lagte hain

zehn mein yaaden jab bhi us ki aati hain

lafz shararat KHud hi karne lagte hain

kar ke yaad tere mathe ka bosa hum

ungli ab honThon pe dharne lagte hain

teri main taswir kabhi jo dekhun to

mere din aur raat Thaharne lagte hain

bin tere sanson ki haalat mat puchho

ghuT ghuT kar rozana marne lagte hain

hum par andhere kuchh aise to hawi hain

hum KHud ke sae se Darne lagte hain

'mit' kahani ulfat ki jab paDhta hun

aankhon se kirdar guzarne lagte hain

(675) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mazi Ke Jab ZaKHm Ubharne Lagte Hain In English By Famous Poet Amit Sharma Meet. Mazi Ke Jab ZaKHm Ubharne Lagte Hain is written by Amit Sharma Meet. Read famous Poem Mazi Ke Jab ZaKHm Ubharne Lagte Hain for youth and Student by Amit Sharma Meet. Free Download Mazi Ke Jab ZaKHm Ubharne Lagte Hain in PDF.