Mujhko Pane Ke Siwa Aur Tamanna Kya Hai

mujh ko pane ke siwa aur tamanna kya hai

mere bare mein bata tera irada kya hai

ishq ki shaKH pe aata hai chala jata hai

dil ke panchhi ka bhala Thor-Thikana kya hai

har nasha kar ke yahan dekh chuka hun yaron

bhul jaane ka use aur tariqa kya hai

teri yaadon mein bahae hain jo aansu itne

aankh bhi puchh rahi hai ki bachaya kya hai

yun mulaqat ka ye daur banae rakhiye

maut kab sath nibha jae bharosa kya hai

hijr ke baad ye socho ki kahan jaoge

hum to mar jaenge waise bhi hamara kya hai

'mit' KHwabon ki KHumari se nikalne ke baad

us se ek bar to puchho ki batata kya hai

(801) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhko Pane Ke Siwa Aur Tamanna Kya Hai In English By Famous Poet Amit Sharma Meet. Mujhko Pane Ke Siwa Aur Tamanna Kya Hai is written by Amit Sharma Meet. Read famous Poem Mujhko Pane Ke Siwa Aur Tamanna Kya Hai for youth and Student by Amit Sharma Meet. Free Download Mujhko Pane Ke Siwa Aur Tamanna Kya Hai in PDF.