Na Aasman Se Na Dushman Ke Zor O Zar Se Hua

na aasman se na dushman ke zor o zar se hua

ye mojaza to mere dast-e-be-hunar se hua

qadam uTha hai to panw tale zamin hi nahin

safar ka ranj hamein KHwahish-e-safar se hua

main bhig bhig gaya aarzu ki barish mein

wo aks aks mein taqsim chashm-e-tar se hua

siyahi shab ki na chehron pe aa gai ho kahin

sahar ka KHauf hamein aainon ke Dar se hua

koi chale to zamin sath sath chalti hai

ye raaz hum pe ayan gard-e-rahguzar se hua

tere badan ki mahak hi na thi to kya rukte

guzar hamara kai bar yun to ghar se hua

kahan pe soe the 'amjad' kahan khulin aankhen

guman qafas ka hamein apne baam-o-dar se hua

(988) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Aasman Se Na Dushman Ke Zor O Zar Se Hua In English By Famous Poet Amjad Islam Amjad. Na Aasman Se Na Dushman Ke Zor O Zar Se Hua is written by Amjad Islam Amjad. Read famous Poem Na Aasman Se Na Dushman Ke Zor O Zar Se Hua for youth and Student by Amjad Islam Amjad. Free Download Na Aasman Se Na Dushman Ke Zor O Zar Se Hua in PDF.