Nikal Ke Halqa-e-sham-o-sahar Se Jaen Kahin

nikal ke halqa-e-sham-o-sahar se jaen kahin

zamin ke sath na mil jaen ye KHalaen kahin

safar ki raat hai pichhli kahaniyan na kaho

ruton ke sath palaTti hain kab hawaen kahin

faza mein tairte rahte hain naqsh se kya kya

mujhe talash na karti hon ye balaen kahin

hawa hai tez charagh-e-wafa ka zikr to kya

tanaben KHema-e-jaan ki na TuT jaen kahin

main os ban ke gul-e-harf par chamakta hun

nikalne wala hai suraj mujhe chhupaen kahin

mere wajud pe utri hain lafz ki surat

bhaTak rahi thin KHalaon mein ye sadaen kahin

hawa ka lams hai panw mein beDiyon ki tarah

shafaq ki aanch se aankhen pighal na jaen kahin

ruka hua hai sitaron ka karwan 'amjad'

charagh apne lahu se hi ab jalaen kahin

(948) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nikal Ke Halqa-e-sham-o-sahar Se Jaen Kahin In English By Famous Poet Amjad Islam Amjad. Nikal Ke Halqa-e-sham-o-sahar Se Jaen Kahin is written by Amjad Islam Amjad. Read famous Poem Nikal Ke Halqa-e-sham-o-sahar Se Jaen Kahin for youth and Student by Amjad Islam Amjad. Free Download Nikal Ke Halqa-e-sham-o-sahar Se Jaen Kahin in PDF.