Mohabbat Ki Ek Nazm

mohabbat ki ek nazm

agar kabhi meri yaad aae

to chand raaton ki narm dil-gir raushni mein

kisi sitare ko dekh lena

agar wo naKHl-e-falak se uD kar

tumhaare qadmon mein aa gire

to ye jaan lena wo istiara tha mere dil ka

agar na aae

magar ye mumkin hi kis tarah hai

ki tum kisi par nigah Dalo

to us ki diwar-e-jaan na TuTe

wo apni hasti na bhul jae

agar kabhi meri yaad aae

gurez karti hawa ki lahron pe hath rakhna

main KHushbuon mein tumhein milunga

mujhe gulabon ki pattiyon mein talash karna

main os-qatron ke aainon mein tumhein milunga

agar sitaron mein os-qatron mein KHushbuon mein na pao mujh ko

to apne qadmon mein dekh lena main gard hoti masafaton mein tumhein milunga

kahin pe raushan charagh dekho

to jaan lena ki har patange ke sath main bhi bikhar chuka hun

tum apni hathon se un patangon ki KHak dariya mein Dal dena

main KHak ban kar samundaron mein safar karunga

kisi na dekhe hue jazire pe

ruk ke tum ko sadaen dunga

samundaron ke safar pe niklo

to us jazire pe bhi utarna

(3904) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mohabbat Ki Ek Nazm In English By Famous Poet Amjad Islam Amjad. Mohabbat Ki Ek Nazm is written by Amjad Islam Amjad. Read famous Poem Mohabbat Ki Ek Nazm for youth and Student by Amjad Islam Amjad. Free Download Mohabbat Ki Ek Nazm in PDF.