Samundar Aasman Aur Main

khulin jo aankhen to sar pe nila falak tana tha

chahaar-jaanib siyah pani ki tund maujon ka ghalghala tha

hawaen chiKHon ko aur karahon ko le ke chalti thin aur miTTi

ki zard KHushbu mein maut-mausam ka zaiqa tha

nazar manazir mein Dub kar bhi misal-e-shisha tahi thi yani

gul-e-tamasha nahin khila tha

hiras jazbon ki rahguzar mein dil-e-tajjub-zada akela

KHamosh tanha bhaTak raha tha

ki ek sae ki narm aahaT ne raston ka nasib badla

koi talluq ke chand lahje mein apne-pan ki ada se bola

mire musafir udas mat ho ki ahd-e-furqat hi zindagi hai

ye faslon ki KHalij rah-e-visal hai aur talab nigahon ki raushni hai

tamam chizen tumhaare mere

badan ke rishton ka silsila hain

tumhein KHabar hai ki hum samundar

aur aasmanon ki intiha hain!

(1498) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Samundar Aasman Aur Main In English By Famous Poet Amjad Islam Amjad. Samundar Aasman Aur Main is written by Amjad Islam Amjad. Read famous Poem Samundar Aasman Aur Main for youth and Student by Amjad Islam Amjad. Free Download Samundar Aasman Aur Main in PDF.