Na Kuchh Aalim Samajhte Hain Na Kuchh Jahil Samajhte Hain

na kuchh aalim samajhte hain na kuchh jahil samajhte hain

mohabbat ki haqiqat ko bas ahl-e-dil samajhte hain

nishan-e-manzil-e-maqsud pa kar bhi na jo Thahre

usi rahraw ko hum aasuda-e-manzil samajhte hain

tere sahra-nawardon ka mazaq-e-justuju tauba

ghubar-e-rah ko ye parda-e-mahmil samajhte hain

tumhin se hai ye nur-e-shama aur ye soz-e-parwana

tumhin ko ahl-e-mahfil raunaq-e-mahfil samajhte hain

na duniya bais-e-ghaflat na uqba wajh-e-hushyari

rahe jo tujh se ghafil hum use ghafil samajhte hain

yahan to qabil-e-afsos hain dushwariyan un ki

tumhaari rah mein mushkil ko jo mushkil samajhte hain

unhin ko tere tir-e-nim-kash ka lutf aata hai

na sine ko jo sina aur na dil ko dil samajhte hain

gul-e-maqsud se phir kyun use wo bhar nahin dete

mere daman ko jab wo kasa-e-sail samajhte hain

koi samjhe na samjhe is haqiqat ko magar 'najmi'

hum apne dard-e-dil ko ishq ka hasil samajhte hain

(734) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Kuchh Aalim Samajhte Hain Na Kuchh Jahil Samajhte Hain In English By Famous Poet Amjad Najmi. Na Kuchh Aalim Samajhte Hain Na Kuchh Jahil Samajhte Hain is written by Amjad Najmi. Read famous Poem Na Kuchh Aalim Samajhte Hain Na Kuchh Jahil Samajhte Hain for youth and Student by Amjad Najmi. Free Download Na Kuchh Aalim Samajhte Hain Na Kuchh Jahil Samajhte Hain in PDF.