Nahin Kuchh Intiha Afsurdagi Ki

nahin kuchh intiha afsurdagi ki

yahi hai rasm shayad aashiqi ki

lab-e-lalin pe ye lahren hansi ki

yahi Dube na kashti zindagi ki

Dhale aansu ki ye TuTe sitare

sukut shab mein yaad aai kisi ki

chaman mein buTa buTa dekhta hai

adaen in ki mastana rawi ki

baDhae ja qadam zauq talab mein

shikayat kar na ijz-o-KHastagi ki

isi ka nam shayad zindagi hai

KHushi ki ek ghaDi to ek ghami ki

sukun-e-sahil-e-dariya ka arman

karo baaten na ye kam-himmati ki

mila kar aankh phir aankhen churana

ada-e-KHas hai ye dilbari ki

ata ho to ata ho dard aisa

ho lazzat jis mein soz-e-daimi ki

abhi hai nur-o-zulmat ki kashakash

abhi hai dur manzil aagahi ki

hayat-e-chand-roza apni 'najmi'

hai taswir-e-mujassam bebasi ki

(740) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nahin Kuchh Intiha Afsurdagi Ki In English By Famous Poet Amjad Najmi. Nahin Kuchh Intiha Afsurdagi Ki is written by Amjad Najmi. Read famous Poem Nahin Kuchh Intiha Afsurdagi Ki for youth and Student by Amjad Najmi. Free Download Nahin Kuchh Intiha Afsurdagi Ki in PDF.