Har Ek Pal Mujhe Dukh Dard Be-shumar Mile

har ek pal mujhe dukh dard be-shumar mile

KHuda kabhi to mere dil ko bhi qarar mile

zamana dushman-e-jaan ho gaya ye gham hai magar

mera nasib ki KHanjar ba-dast-e-yar mile

kya hogi is se bhi baDh kar kisi ki mahrumi

jise nasib mein ta-marg intizar mile

ai aalamin ke raaziq bata kahan jaun

mere watan mein mujhe jab na rozgar mile

rahe wo zinda ya mar jae farq kya hai jise

ghuTan zamane mein aur qabr mein fishaar mile

main muskuraata magar di na ashk ne mohlat

KHushi jab ek mili sath gham hazar mile

jo jhuT bole hukumat se dad le jae

jo bole sach use tohfe mein auj-e-dar mile

falak pe likkhun tera nam mere nam ke sath

agar kabhi mujhe taron par iKHtiyar mile

main jin se dur hi rahna pasand karta tha

wo zindagi ki masafat mein bar bar mile

KHushi se 'abr' har ek rabt munqata kar do

agar kahi koi duniya mein sogwar mile

(759) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Ek Pal Mujhe Dukh Dard Be-shumar Mile In English By Famous Poet Anis Abr. Har Ek Pal Mujhe Dukh Dard Be-shumar Mile is written by Anis Abr. Read famous Poem Har Ek Pal Mujhe Dukh Dard Be-shumar Mile for youth and Student by Anis Abr. Free Download Har Ek Pal Mujhe Dukh Dard Be-shumar Mile in PDF.