Lafz Yun KHamushi Se LaDte Hain

lafz yun KHamushi se laDte hain

jis tarah gham hansi se laDte hain

jaanwar jaanwar se laDta hai

aadmi aadmi se laDte hain

maut ki aarzu mein diwane

umr-bhar zindagi se laDte hain

jis se hai dosti ka hukm hamein

hum bhi pagal usi se laDte hain

dusron se kabhi nahin laDte

log jo bhi KHudi se laDte hain

ye andheron ke hukmaran sare

aaj bhi raushni se laDte hain

jo ana ke mariz hote hain

har nae din kisi se laDte hain

aur bhi log jab hain basti mein

aap kyun kar hami se laDte hain

un ko mazdur kahna Thik nahin

log jo muflisi se laDte hain

'abr' be-kar log puchhte hain

aap bhi kya kisi se laDte hain

(715) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lafz Yun KHamushi Se LaDte Hain In English By Famous Poet Anis Abr. Lafz Yun KHamushi Se LaDte Hain is written by Anis Abr. Read famous Poem Lafz Yun KHamushi Se LaDte Hain for youth and Student by Anis Abr. Free Download Lafz Yun KHamushi Se LaDte Hain in PDF.