Kitna DhunDa Use Jab Ek Ghazal Aur Kahi

kitna DhunDa use jab ek ghazal aur kahi

jab mila hi nahin tab ek ghazal aur kahi

ek ummid mulaqat mein likkhi sar-e-sham

aur phir aaKHir-e-shab ek ghazal aur kahi

ek ghazal likkhi to gham koi purana jaga

phir usi gham ke sabab ek ghazal aur kahi

us ghazal mein kisi be-dard ka nam aata tha

so pae bazm-e-tarab ek ghazal aur kahi

jaante bujhte ek misra-e-tar ki qimat

dil-e-bedad-talab ek ghazal aur kahi

dil ki dhaDkan ko hi pairaya-e-izhaar kiya

sil chuke jab mere lab ek ghazal aur kahi

dafatan KHud se mulaqat ka ehsas hua

muddaton baad jo ab ek ghazal aur kahi

wahshat-e-hijr bhi tanhai bhi main bhi 'anjum'

jab ikaTThe hue sab ek ghazal aur kahi

(1019) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kitna DhunDa Use Jab Ek Ghazal Aur Kahi In English By Famous Poet Anjum Khaleeq. Kitna DhunDa Use Jab Ek Ghazal Aur Kahi is written by Anjum Khaleeq. Read famous Poem Kitna DhunDa Use Jab Ek Ghazal Aur Kahi for youth and Student by Anjum Khaleeq. Free Download Kitna DhunDa Use Jab Ek Ghazal Aur Kahi in PDF.