Meri Aawaz Sun Kar Zindagi Bedar Ho Jaise

meri aawaz sun kar zindagi bedar ho jaise

teri aawaz ka saya ufuq ke par ho jaise

tulu-e-subh ka manzar mere andar hai KHwabida

mere andar zamanon ki hasin takrar ho jaise

main har diwar ke donon taraf yun dekh leta hun

mera hi dusra hissa pas-e-diwar ho jaise

shajar ki Tahni Tahni mein hain kitne raaz poshida

har ek jangal ka har ek peD pur-asrar ho jaise

abhi hum ghumte phirte hain be-samti ke jangal mein

hamara zindagi bhar ka safar be-kar ho jaise

main gahre paniyon mein Dubta 'anjum' jazira hun

meri duniya parindon ki hasin chahkar ho jaise

(594) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Meri Aawaz Sun Kar Zindagi Bedar Ho Jaise In English By Famous Poet Anjum Niyazi. Meri Aawaz Sun Kar Zindagi Bedar Ho Jaise is written by Anjum Niyazi. Read famous Poem Meri Aawaz Sun Kar Zindagi Bedar Ho Jaise for youth and Student by Anjum Niyazi. Free Download Meri Aawaz Sun Kar Zindagi Bedar Ho Jaise in PDF.