Hawa Ka TaKHt Bichhata Hun Raqs Karta Hun

hawa ka taKHt bichhata hun raqs karta hun

badan charagh banata hun raqs karta hun

main baiTh jata hun takiya laga ke baatin mein

KHud apni bazm sajata hun raqs karta hun

zamin hanpne lagti hai ek jagah ruk kar

main us ka hath baTata hun raqs karta hun

mera surur mujhe khinchta hai apni taraf

main apne-ap mein aata hun raqs karta hun

main jaanta hun mujhe kaise shant hona hai

kaho to ho ke dikhata hun raqs karta hun

meri misal dhuan hai bujhe charaghon ka

jab apna sog manata hun raqs karta hun

ajib lahr si 'anjum' mere KHamir mein hai

jise wajud mein lata hun raqs karta hun

(778) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hawa Ka TaKHt Bichhata Hun Raqs Karta Hun In English By Famous Poet Anjum Saleemi. Hawa Ka TaKHt Bichhata Hun Raqs Karta Hun is written by Anjum Saleemi. Read famous Poem Hawa Ka TaKHt Bichhata Hun Raqs Karta Hun for youth and Student by Anjum Saleemi. Free Download Hawa Ka TaKHt Bichhata Hun Raqs Karta Hun in PDF.