Har Ghar Ke Makinon Ne Hi Dar Khole Hue The

har ghar ke makinon ne hi dar khole hue the

saman bandha rakkha tha par khole hue the

kya karte jo do chaar qadam tha lab-e-dariya

jab hausle hi raKHt-e-safar khole hue the

ek us ke bichhaDne ka qalaq sab ko hua tha

sarsabz daraKHton ne bhi sar khole hue the

sachchai ki KHushbu ki ramaq tak na thi un mein

wo log jo bazar-e-hunar khole hue the

pahuncha tha haqiqat ko koi ek hi 'anjum'

aankhen to kai ahl-e-nazar khole hue the

(594) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Ghar Ke Makinon Ne Hi Dar Khole Hue The In English By Famous Poet Anjum Tarazi. Har Ghar Ke Makinon Ne Hi Dar Khole Hue The is written by Anjum Tarazi. Read famous Poem Har Ghar Ke Makinon Ne Hi Dar Khole Hue The for youth and Student by Anjum Tarazi. Free Download Har Ghar Ke Makinon Ne Hi Dar Khole Hue The in PDF.