Siyahiyon Ka Nagar Raushni Se AT Jae

siyahiyon ka nagar raushni se aT jae

bahut tawil hai ya-rab ye raat kaT jae

zamin ka rizq hun lekin nazar falak par hai

kaho falak se mere raste se haT jae

tamam raat sitara yahi pukarta tha

hawa ke sath chalo baadban na phaT jae

meri ghazal ka hai 'anwar-sadid' ye hasil

mata-e-dard mere doston mein baT jae

(972) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Siyahiyon Ka Nagar Raushni Se AT Jae In English By Famous Poet Anwar Sadeed. Siyahiyon Ka Nagar Raushni Se AT Jae is written by Anwar Sadeed. Read famous Poem Siyahiyon Ka Nagar Raushni Se AT Jae for youth and Student by Anwar Sadeed. Free Download Siyahiyon Ka Nagar Raushni Se AT Jae in PDF.