Saman To Behad Hai Dil Mein

saman to behad hai dil mein

sab kuchh kar-amad hai dil mein

aap kabhi tashrif to laen

ek aali masnad hai dil mein

ba-e-bismillah kholegi

jo qufl-e-abjad hai dil mein

ishq ki ausat kam nahin hoti

aaj bhi sad-fi-sad hai dil mein

koi bahs na koi hujjat

tu be-radd-o-kad hai dil mein

takta rahta hun sahra se

ek hara gumbad hai dil mein

ishq ho jaise jaan ki bazi

aisi shadd-o-mad hai dil mein

us ghar ki wusat kya kahna

tum jaisa KHush-qad hai dil mein

ye jannat bhi hai dozaKH bhi

nek hai dil mein bad hai dil mein

be-lausi se aae ho sach-much

ya koi maqsad hai dil mein

sar pe zaruri kaam paDe hain

aur aamad aamad hai dil mein

hum jate hain fatiha paDhne

purkhon ka mashhad hai dil mein

kyun khinchte hain 'shuur' aap aaKHir

kya hum se kuchh kad hai dil mein

(1825) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Saman To Behad Hai Dil Mein In English By Famous Poet Anwar Shuoor. Saman To Behad Hai Dil Mein is written by Anwar Shuoor. Read famous Poem Saman To Behad Hai Dil Mein for youth and Student by Anwar Shuoor. Free Download Saman To Behad Hai Dil Mein in PDF.