Nahin KHasta-haali Pe Na-mutmain Hum

nahin KHasta-haali pe na-mutmain hum

yahi TaT maKHmal yahi TaT resham

hum achchhi tarah jaante hain ye naseh

ki sachchai ka ajr hai saghar-e-sam

kisi haal mein bhi rakhe rakhne wala

bhala dahr mein kya KHushi aur kya gham

nahin apni ghaeb-dimaghi pe hairat

mohabbat mein hota hai aksar ye aalam

koi shor sa dil mein rahta hai barpa

dama-dam dama-dam dama-dam dama-dam

rahe tazkire amn ke aashti ke

magar bastiyon par baraste rahe bam

kahan chain se aaj duniya mein koi

ye jannat bana di gai hai jahannam

na guzra kabhi ek lamha sukun se

mohabbat mein aae wo din-raat paiham

(1488) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nahin KHasta-haali Pe Na-mutmain Hum In English By Famous Poet Anwar Shuoor. Nahin KHasta-haali Pe Na-mutmain Hum is written by Anwar Shuoor. Read famous Poem Nahin KHasta-haali Pe Na-mutmain Hum for youth and Student by Anwar Shuoor. Free Download Nahin KHasta-haali Pe Na-mutmain Hum in PDF.