Nafas Ki Aamad-o-shud Ko Wabaal Kar Ke Bhi

nafas ki aamad-o-shud ko wabaal kar ke bhi

wo KHush nahin hai hamara ye haal kar ke bhi

ajab tha nashsha-e-waraftagi-e-wasl use

wo taza-dam raha mujh ko niDhaal kar ke bhi

hamein aziz hamesha rahi hai nisbat-e-KHak

ye sar jhuka raha kasb-e-kamal kar ke bhi

lo hum na kahte the hum ko nahin umid-e-jawab

lo hum ne dekh liya hai sawal kar ke bhi

ye ek umr purani sharab hai yaro

KHumar-e-hijr rahega visal kar ke bhi

usi ke nam ka sajda kiya musalle par

usi ka zikr kiya hai dhamal kar ke bhi

sharab dana-e-angur se barabar khinch

par ek kuza kashid-e-KHayal kar ke bhi

(781) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nafas Ki Aamad-o-shud Ko Wabaal Kar Ke Bhi In English By Famous Poet Arif Imam. Nafas Ki Aamad-o-shud Ko Wabaal Kar Ke Bhi is written by Arif Imam. Read famous Poem Nafas Ki Aamad-o-shud Ko Wabaal Kar Ke Bhi for youth and Student by Arif Imam. Free Download Nafas Ki Aamad-o-shud Ko Wabaal Kar Ke Bhi in PDF.