Sab Lahu Jam Gaya Ubaal Ke Bich

sab lahu jam gaya ubaal ke bich

kaun yaad aa gaya visal ke bich

ek waqfa hai zindagi-bhar ka

zaKHm ke aur indimal ke bich

aan baiTha hai ek andesha

guftugu aur arz-e-haal ke bich

tal deti hai jab kabhi wahshat

raqs karta hun main KHayal ke bich

kabhi matam miyan-e-raqs kiya

kabhi sajda kiya dhamal ke bich

ek parda hai be-sabaati ka

aaine aur tere jamal ke bich

ek baras ho gaya use dekhe

ek sadi aa gai hai sal ke bich

mere daman ko dhone wala hai

ek aansu jo hai rumal ke bech

(1004) Peoples Rate This


Fatal error: Uncaught PDOException: SQLSTATE[42S22]: Column not found: 1054 Unknown column 'id' in 'ORDER BY' in /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php:544 Stack trace: #0 /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php(544): PDOStatement->execute() #1 {main} thrown in /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php on line 544