Main Ab Ukta Gaya Hun Furqaton Se

main ab ukta gaya hun furqaton se

nikalun kis tarah tujh ko ragon se

judai tak mein baiThi hui thi

mohabbat kar rahe the mashwaron se

tujhe main ne mujhe tu ne ganwaya

magar ab faeda in tazkaron se

duaen ho gain na rad tumhaari

main qail hi nahin hun falsafon se

mere sab hausle mare gae hain

tumhaari kam-sini ke faislon se

tumhaari yaad KHuni hai meri bhi

laDen hum kis tarah in bheDiyon se

wo wahshat hai ki hai wo sog barpa

main hansta tak nahin hun qahqahon se

tumhaare gham ki jaan ko aa gae hain

nahin shayad magar han kuchh dinon se

hamare beach ek diwar hai ab

ise uncha karenge nafraton se

(3507) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Ab Ukta Gaya Hun Furqaton Se In English By Famous Poet Arif Ishtiaque. Main Ab Ukta Gaya Hun Furqaton Se is written by Arif Ishtiaque. Read famous Poem Main Ab Ukta Gaya Hun Furqaton Se for youth and Student by Arif Ishtiaque. Free Download Main Ab Ukta Gaya Hun Furqaton Se in PDF.