Yahi Hona Tha Aur Hua Jaanan

yahi hona tha aur hua jaanan

ho gae hum juda juda jaanan

koi aasan na thi teri furqat

main haqiqat mein ro paDa jaanan

tere andar hun main hi main har su

mere andar tu ja-ba-ja jaanan

hans ke milta hai har koi aise

jaise har shaKHs ho KHafa jaanan

ab main chalta hun chal KHuda-hafiz

shahr ye wo nahin raha jaanan

(840) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yahi Hona Tha Aur Hua Jaanan In English By Famous Poet Arif Ishtiaque. Yahi Hona Tha Aur Hua Jaanan is written by Arif Ishtiaque. Read famous Poem Yahi Hona Tha Aur Hua Jaanan for youth and Student by Arif Ishtiaque. Free Download Yahi Hona Tha Aur Hua Jaanan in PDF.