Zindagi Yun Karen Basar Kab Tak

zindagi yun karen basar kab tak

hum milenge nahin magar kab tak

tum ba-zahir jo la-talluq ho

aur hum tum se darguzar kab tak

raste raste guman tera

aur tanha karun safar kab tak

aah nikle na kab talak aaKHir

KHun hota rahe jigar kab tak

aao dekhen ye hijr ka sahra

aur karta hai dar-ba-dar kab tak

ek ummid-e-wasl hai lekin

ek ummid pe guzar kab tak

(841) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zindagi Yun Karen Basar Kab Tak In English By Famous Poet Arif Ishtiaque. Zindagi Yun Karen Basar Kab Tak is written by Arif Ishtiaque. Read famous Poem Zindagi Yun Karen Basar Kab Tak for youth and Student by Arif Ishtiaque. Free Download Zindagi Yun Karen Basar Kab Tak in PDF.