Band Aankhon Se Na Husn-e-shab Ka Andaza Laga

band aankhon se na husn-e-shab ka andaza laga

mahmil-e-dil se nikal sar ko hawa taza laga

dekh rah jae na tu KHwahish ke gumbad mein asir

ghar banata hai to sab se pahle darwaza laga

han samundar mein utar lekin ubharne ki bhi soch

Dubne se pahle gahrai ka andaza laga

har taraf se aaega teri sadaon ka jawab

chup ke changul se nikal aur ek aawaza laga

sar uTha kar chalne ki ab yaad bhi baqi nahin

mere jhukne se meri zillat ka andaza laga

lafz mani se gurezan hain to un mein rang bhar

chehra hai be-nur to us par koi ghaza laga

aaj phir wo aate aate rah gaya aur aaj phir

sar-ba-sar bikhra hua hasti ka shiraaza laga

rahm kha kar 'arsh' us ne is taraf dekha magar

ye bhi dil de baiThne ka mujh ko KHamyaza laga

(954) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Band Aankhon Se Na Husn-e-shab Ka Andaza Laga In English By Famous Poet Arsh Siddiqui. Band Aankhon Se Na Husn-e-shab Ka Andaza Laga is written by Arsh Siddiqui. Read famous Poem Band Aankhon Se Na Husn-e-shab Ka Andaza Laga for youth and Student by Arsh Siddiqui. Free Download Band Aankhon Se Na Husn-e-shab Ka Andaza Laga in PDF.