Bas Ek Hi Kaifiyyat-e-dil Subh-o-masa Hai

bas ek hi kaifiyyat-e-dil subh-o-masa hai

har lamha meri umr ka zanjir-ba-pa hai

main shahr ko kahta hon bayaban ki yahan bhi

saya teri diwar ka kab sar pe paDa hai

hai waqt ki kahta hai rukunga na main ek pal

tu hai ki abhi baat meri tol raha hai

main bazm se KHakistar-e-dil le ke chala hun

aur samne tanhai ke sahra ki hawa hai

aawaz ka tesha hai na KHamosh takallum

tala jo zaban par tha wo ab dil pe paDa hai

main sath liye phirta hun saman-e-halakat

rag rag mein meri zahr-e-wafa dauD raha hai

kya kya hain tamannaen dil-e-KHak-basar mein

ye qafila virane mein kyun Thahra hua hai

(945) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bas Ek Hi Kaifiyyat-e-dil Subh-o-masa Hai In English By Famous Poet Arsh Siddiqui. Bas Ek Hi Kaifiyyat-e-dil Subh-o-masa Hai is written by Arsh Siddiqui. Read famous Poem Bas Ek Hi Kaifiyyat-e-dil Subh-o-masa Hai for youth and Student by Arsh Siddiqui. Free Download Bas Ek Hi Kaifiyyat-e-dil Subh-o-masa Hai in PDF.