Junun Ke Taur Hum Idrak Hi Se Bandhte Hain

junun ke taur hum idrak hi se bandhte hain

ki tir-o-tar ko fitrak hi se bandhte hain

bayon ko shaKH-e-gul-e-tar hi ras aati hai

agarche ghonsle KHashak hi se bandhte hain

falak se nur-o-tamazat to lete hain lekin

shajar jaDon ko faqat KHak hi se bandhte hain

lahu se sarf-e-nazar ki ajab riwayat hai

umid-e-nashsha yahan tak hi se bandhte hain

hum apne hathon pe itraate hain magar 'arshad'

tilism-e-kuza-gari chaak hi se bandhte hain

(555) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Junun Ke Taur Hum Idrak Hi Se Bandhte Hain In English By Famous Poet Arshad Abdul Hamid. Junun Ke Taur Hum Idrak Hi Se Bandhte Hain is written by Arshad Abdul Hamid. Read famous Poem Junun Ke Taur Hum Idrak Hi Se Bandhte Hain for youth and Student by Arshad Abdul Hamid. Free Download Junun Ke Taur Hum Idrak Hi Se Bandhte Hain in PDF.