Chashmak-zani Mein Karti Nahin Yar Ka Lihaz

chashmak-zani mein karti nahin yar ka lihaz

nargis ki aankh mein bhi nahin hai zara lihaz

be-gali ab to baat bhi karte nahin kabhi

wo ibtida mein karte the be-intiha lihaz

tanha main aur itne wahan hain mere raqib

naz-o-ada ghamza-o-sharm-o-haya lihaz

saqi ki be-ruKHi ki kahan tab thi magar

pir-e-mughan ki ruh ka karna paDa lihaz

kya wasf-e-chashm-e-yar karun is ke samne

nargis se hai faqat mujhe ek aankh ka lihaz

hurmat baDi hai us ki na kar hajw is qadar

lazim hai duKHt-e-raz ka tujhe waiza lihaz

nikli na KHum se bazm-e-jawanan-e-mast mein

pir-e-mughan ka bint-e-inab ne kiya lihaz

phir mujh se is tarah ki na kijega dil-lagi

KHair us ghaDi to aap ka main kar gaya lihaz

be-KHud sharab-e-shauq ne shab ko ye kar diya

un ko raha hijab na mujh ko raha lihaz

qurban is hijab ke is sharm ke nisar

itna na aashiqon se kar ai mah-laqa lihaz

mahjub hai mizaj 'qalaq' apna is qadar

karte hain apne KHurd ka bhi hum bura lihaz

(744) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chashmak-zani Mein Karti Nahin Yar Ka Lihaz In English By Famous Poet Arshad Ali Khan Qalaq. Chashmak-zani Mein Karti Nahin Yar Ka Lihaz is written by Arshad Ali Khan Qalaq. Read famous Poem Chashmak-zani Mein Karti Nahin Yar Ka Lihaz for youth and Student by Arshad Ali Khan Qalaq. Free Download Chashmak-zani Mein Karti Nahin Yar Ka Lihaz in PDF.