Daftar Jo Gulon Ke Wo Sanam Khol Raha Hai

daftar jo gulon ke wo sanam khol raha hai

aghyar to kya dil bhi idhar bol raha hai

aasar-e-rihai hain ye dil bol raha hai

sayyaad sitamgar mere par khol raha hai

ghairon se mere waste jo bol raha hai

aab-e-dard-e-nida nahin wo sam ghol raha hai

kis kis ka nahin tair-e-dil dam mein us ke

tuti KHatt-e-ariz ka tere bol raha hai

jame se hua jata hai bahar jo har ek gul

kya bagh mein wo band-e-qaba khol raha hai

shahon ki tarah ki hai basar dasht-e-junun mein

diwanon ka ham-rah mere ghol raha hai

kya kya nahin dukh qaid musibat ke sahe hain

barson dil-e-nashad meri awwal raha hai

raqs aap ka jo dekh ke behaal hua tha

ghunghru usi pamal ka ab bol raha hai

yaad aati hai kis but ki mere KHana-e-dil mein

chhati ke kiwaD aaj koi khol raha hai

karne ko hai said aaj kisi tair-e-dil

shahin nigah-e-yar ka par tol raha hai

taskin ko ye kahte rahe furqat ki shab ahbab

lo subh hui murgh-e-sahar bol raha hai

bulbul hai fida karti nahin naqd-e-dil us par

gulzar mein ghuncha bhi girah khol raha hai

danai se KHali tha na diwana-pan us ka

duniya mein baDi chain se bahlol raha hai

maqtal mein gire paDte hain jaanbaz pe jaanbaz

talwar se KHak khaDa rol raha hai

dil to diya mizan nahin paTti nazar aati

nazron mein wo KHush-chashm mujhe taul raha hai

sanduqcha argan ka hai ya KHana-e-sayyaad

har murgh-e-nafas hank nai bol raha hai

miTte nahin dekhi hai shikan hum ne jabin ki

jab farsh par us ke kahin kuchh jhol raha hai

mahrum thin rah gae kahte hain ye sab log

jaan-bazon ko kas kar wo kamar khol raha hai

kya garm hai bazar-e-KHaridari-e-bulbul

gulzar mein kanTa zar-e-gul tol raha hai

kam qadr kabhi dekhi nahin jins-e-mohabbat

sauda ye hamesha 'qalaq' anmol raha hai

(849) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Daftar Jo Gulon Ke Wo Sanam Khol Raha Hai In English By Famous Poet Arshad Ali Khan Qalaq. Daftar Jo Gulon Ke Wo Sanam Khol Raha Hai is written by Arshad Ali Khan Qalaq. Read famous Poem Daftar Jo Gulon Ke Wo Sanam Khol Raha Hai for youth and Student by Arshad Ali Khan Qalaq. Free Download Daftar Jo Gulon Ke Wo Sanam Khol Raha Hai in PDF.