Sharaf Insan Ko Kab Zill-e-huma Deta Hai

sharaf insan ko kab zill-e-huma deta hai

baadshahi jise deta hai KHuda deta hai

mera saqi wo mai-e-hosh-ruba deta hai

sare aalam ke bakheDon se chhuDa deta hai

kaun kahta hai ki hote hain KHush-andaz hasin

chahne wala trahdar bana deta hai

munimon ko nahin neamat mein ye lazzat hasil

sukha TukDa jo tawakkul ka maza deta hai

is mein sau tarah ki qudrat hai wo majbur nahin

chahta hai to muqaddar se siwa deta hai

tegh-e-qatil meri gardan se lipaT jati hai yun

jaise bichhDe ko gale koi mila deta hai

shor-e-KHalKHal tera ai sanam-e-hashr-KHiram

fitna-e-KHufta-e-mahshar ko jaga deta hai

qulzum-e-rahmat-e-haq josh pe jab aata hai

ghaT par kashti-e-ummid laga deta hai

ek hi shab ka hai mehman ki chaTak kar ghuncha

subh-dam kuch ka naqqara baja deta hai

kis qadar dil hai chuTila ki dam-e-sair-e-chaman

nala-e-bulbul-e-nashad rula deta hai

soz-e-furqat bhi kam o saiqa-e-qahr nahin

KHirman-e-hasti-e-ushshaq jala deta hai

husn-e-andaz bhi shayad koi mashshata hai

aadmi ko ye pari-zad bana deta hai

un jafa-karon ki ulfat nahin aasan kaisi

dil jo deta hai unhen jaan laDa deta hai

kya bashar roke kahe haal-e-dil-e-zar apna

qahqahon mein wo pari-zad uDa deta hai

baghban-e-gul-e-mazmun hai haqiqat mein 'qalaq'

jab ghazal paDhta hai ek bagh khila deta hai

(1038) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sharaf Insan Ko Kab Zill-e-huma Deta Hai In English By Famous Poet Arshad Ali Khan Qalaq. Sharaf Insan Ko Kab Zill-e-huma Deta Hai is written by Arshad Ali Khan Qalaq. Read famous Poem Sharaf Insan Ko Kab Zill-e-huma Deta Hai for youth and Student by Arshad Ali Khan Qalaq. Free Download Sharaf Insan Ko Kab Zill-e-huma Deta Hai in PDF.