Viran Viran Baam-o-dar Main Aur Meri Tanhai

viran viran baam-o-dar main aur meri tanhai

tariki mein Duba ghar main aur meri tanhai

us ke qad ki KHal-o-KHad ki surat ki sirat ki

baaten karte hain shab bhar main aur meri tanhai

jaane kis din wo aa jae banTe pyar asase

darwaza kashkol nazar main aur meri tanhai

hijr-ruton ke KHamoshi ke dil ki betabi ke

hain ek muddat se KHugar main aur meri tanhai

dard samundar mein 'arshad' thin shiddat-e-gham ki lahren

Dub rahe the bich bhanwar main aur meri tanhai

(673) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Viran Viran Baam-o-dar Main Aur Meri Tanhai In English By Famous Poet Arshadul Qadri. Viran Viran Baam-o-dar Main Aur Meri Tanhai is written by Arshadul Qadri. Read famous Poem Viran Viran Baam-o-dar Main Aur Meri Tanhai for youth and Student by Arshadul Qadri. Free Download Viran Viran Baam-o-dar Main Aur Meri Tanhai in PDF.