Hawa Hawas Ke Ilaqe Dikha Rahi Hai Mujhe

hawa hawas ke ilaqe dikha rahi hai mujhe

gul-e-gunah ki mahak phir bula rahi hai mujhe

abhi na jaunga main dusre sitare par

ki ye zamin abhi ras aa rahi hai mujhe

charagh bhi mera chehra hai shab bhi mera jism

to phir ye KHalq-e-KHuda kyun jala rahi hai mujhe

samajh mein kuchh nahin aata ki ye hawa-e-wajud

jala rahi hai mujhe ya bujha rahi hai mujhe

giyah-e-ishq bhi meri gul-e-hawas bhi mere

to kyun zamin tamasha bana rahi hai mujhe

(687) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hawa Hawas Ke Ilaqe Dikha Rahi Hai Mujhe In English By Famous Poet Asad Badayuni. Hawa Hawas Ke Ilaqe Dikha Rahi Hai Mujhe is written by Asad Badayuni. Read famous Poem Hawa Hawas Ke Ilaqe Dikha Rahi Hai Mujhe for youth and Student by Asad Badayuni. Free Download Hawa Hawas Ke Ilaqe Dikha Rahi Hai Mujhe in PDF.