Jaan-e-nashat Husn Ki Duniya Kahen Jise

jaan-e-nashat husn ki duniya kahen jise

jannat hai ek KHun-e-tamanna kahen jise

us jalwa-gah-e-husn mein chhaya hai har taraf

aisa hijab chashm-e-tamasha kahen jise

ye asl zindagi hai ye jaan-e-hayat hai

husn-e-mazaq shorish-e-sauda kahen jise

mere wida-e-hosh ko itna bhi hai bahut

ye aab o rang husn ka parda kahen jise

aksar raha hai husn-e-haqiqat bhi samne

ek mustaqil sarab-e-tamanna kahen jise

ab tak tamam fikr o nazar par muhit hai

shakl-e-sifat mani-e-ashiya kahen jise

har mauj ki wo shan hai jam-e-sharab mein

barq-e-faza-e-wadi-e-sina kahen jise

zindaniyon ko aa ke na chheDa kare bahut

jaan-e-bahaar nikhat-e-ruswa kahen jise

is haul-e-dil se garm-rau-e-arsa-e-wajud

mera hi kuchh ghubar hai duniya kahen jise

sarmastiyon mein shisha-e-mai le ke hath mein

itna uchhaal den ki surayya kahen jise

shayad mere siwa koi us ko samajh sake

wo rabt-e-KHas ranjish-e-beja kahen jise

meri nigah-e-shauq pe ab tak hai munakis

husn-e-KHayal shahid-e-zeba kahen jise

dil jalwa-gah-e-husn bana faiz-e-ishq se

wo dagh hai ki shahid-e-rana kahen jise

'asghar' na kholna kisi hikmat-maab par

raaz-e-hayat saghar o mina kahen jise

(1021) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jaan-e-nashat Husn Ki Duniya Kahen Jise In English By Famous Poet Asghar Gondvi. Jaan-e-nashat Husn Ki Duniya Kahen Jise is written by Asghar Gondvi. Read famous Poem Jaan-e-nashat Husn Ki Duniya Kahen Jise for youth and Student by Asghar Gondvi. Free Download Jaan-e-nashat Husn Ki Duniya Kahen Jise in PDF.