Pata Nahin Jo Lazzat-e-ah-e-sahar Ko Main

pata nahin jo lazzat-e-ah-e-sahar ko main

phir kya karunga le ke ilahi asar ko main

aashob-gah-e-hashr mujhe kyun ajib ho

jab aaj dekhta hun teri rahguzar ko main

aisa bhi ek jalwa tha us mein chhupa hua

us ruKH pe dekhta hun ab apni nazar ko main

jina bhi aa gaya mujhe marna bhi aa gaya

pahchanne laga hun tumhaari nazar ko main

wo shoKHiyon se jalwa dikha kar to chal diye

un ki KHabar ko jaun ki apni KHabar ko main

aahon ne meri KHirman-e-hasti jala diya

kya munh dikhaunga teri barq-e-nazar ko main

baqi nahin jo lazzat-e-bedari-e-fana

phir kya karunga zindagi-e-be-asar ko main

'asghar' mujhe junun nahin lekin ye haal hai

ghabra raha hun dekh ke diwar-o-dar ko main

(1467) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pata Nahin Jo Lazzat-e-ah-e-sahar Ko Main In English By Famous Poet Asghar Gondvi. Pata Nahin Jo Lazzat-e-ah-e-sahar Ko Main is written by Asghar Gondvi. Read famous Poem Pata Nahin Jo Lazzat-e-ah-e-sahar Ko Main for youth and Student by Asghar Gondvi. Free Download Pata Nahin Jo Lazzat-e-ah-e-sahar Ko Main in PDF.