Raqs-e-masti Dekhte Josh-e-tamanna Dekhte

raqs-e-masti dekhte josh-e-tamanna dekhte

samne la kar tujhe apna tamasha dekhte

kam se kam husn-e-taKHyyul ka tamasha dekhte

jalwa-e-yusuf to kya KHwab-e-zuleKHa dekhte

kuchh samajh kar hum ne rakkha hai hijab-e-deher ko

toD kar shishe ko phir kya rang-e-sahba dekhte

roz-e-raushan ya shab-e-mahtab ya subh-e-chaman

hum jahan se chahte wo ru-e-zeba dekhte

qalb par girti taDap kar phir wahi barq-e-jamal

har bun-e-mu mein wahi aashob o ghaugha dekhte

sad-zaman o sad-makan o in-jahan o aan-jahan

tum na aa jate to hum wahshat mein kya kya dekhte

is tarah kuchh rang bhar jata nigah-e-shauq mein

jalwa KHud betab ho jata wo parda dekhte

jin ko apni shoKHiyon par aaj itna naz hai

wo kisi din meri jaan-e-na-shakeba dekhte

mai-kade mein zindagi hai shor-e-nosha-nosh hai

miT gae hote agar hum jam o mina dekhte

(1066) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raqs-e-masti Dekhte Josh-e-tamanna Dekhte In English By Famous Poet Asghar Gondvi. Raqs-e-masti Dekhte Josh-e-tamanna Dekhte is written by Asghar Gondvi. Read famous Poem Raqs-e-masti Dekhte Josh-e-tamanna Dekhte for youth and Student by Asghar Gondvi. Free Download Raqs-e-masti Dekhte Josh-e-tamanna Dekhte in PDF.