Samne Un Ke TaDap Kar Is Tarah Fariyaad Ki

samne un ke taDap kar is tarah fariyaad ki

main ne puri shakl dikhla di dil-e-nashad ki

ab yahi hai wajh-e-taskin KHatir-e-nashad ki

zindagi main ne dayar-e-husn mein barbaad ki

hosh par bijli giri aankhen bhi KHira ho gain

tum to kya the ek jhalak si thi tumhaari yaad ki

chal diya majnun to sahra se kisi jaanib magar

ek sada gunji hui hai nala o fariyaad ki

naghma-e-pur-dard chheDa main ne is andaz se

KHud-ba-KHud mujh par nazar paDne lagi sayyaad ki

dil hua majbur jis dam ashk-e-hasrat ban gaya

ruh jab taDpi to surat ban gai fariyaad ki

is harim-e-quds mein kya lafz o mani ka guzar

phir bhi sab baaten pahunchti hain lab-e-fariyaad ki

tamtama uThe wo aariz mere arz-e-shauq par

husn jag uTha wahin jab ishq ne fariyaad ki

aashiyan mein ab kisi surat nahin paDta hai chain

thi nazar tasir mein Dubi hui sayyaad ki

sher mein rangini-e-josh-e-taKHayyul chahiye

mujh ko 'asghar' kam hai aadat nala o fariyaad ki

(884) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Samne Un Ke TaDap Kar Is Tarah Fariyaad Ki In English By Famous Poet Asghar Gondvi. Samne Un Ke TaDap Kar Is Tarah Fariyaad Ki is written by Asghar Gondvi. Read famous Poem Samne Un Ke TaDap Kar Is Tarah Fariyaad Ki for youth and Student by Asghar Gondvi. Free Download Samne Un Ke TaDap Kar Is Tarah Fariyaad Ki in PDF.