Shikwa Na Chahiye Ki Taqaza Na Chahiye

shikwa na chahiye ki taqaza na chahiye

jab jaan par bani ho to kya kya na chahiye

saqi teri nigah ko pahchanta hun main

mujh se fareb-e-saghar-o-mina na chahiye

ye aastan-e-yar hai sehn-e-haram nahin

jab rakh diya hai sar to uThana na chahiye

KHud aap apni aag mein jalne ka lutf hai

ahl-e-tapish ko aatish-e-sina na chahiye

kya kam hain zauq-e-did ki jalwa-faraaziyan

aankhon ko intizar-e-tamasha na chahiye

wo bargah-e-husn adab ka maqam hai

juz dard o ishtiyaq taqaza na chahiye

tegh-e-ada mein us ke hai ek ruh-e-tazgi

hum kushtagan-e-shauq ko mar jaana chahiye

hasti ke aab o rang ki tabir kuchh to ho

mujh ko faqat ye KHwab-e-zuleKHa na chahiye

is ke siwa to mani-e-majnun bhi kuchh nahin

aisa bhi rabt-surat-e-laila na chahiye

Thahre agar to manzil-e-maqsud phir kahan

saghar-ba-kaf gire to sambhalna na chahiye

ek jalwa KHal-o-KHat se bhi aarasta sahi

wamandagi-e-zauq-e-tamasha na chahiye

sab ahl-e-did be-KHud o hairan o mast hain

koi agar nahin hai to parwa na chahiye

'asghar' sanam-parast sahi phir kisi ko kya

ahl-e-haram ko kawish-e-beja na chahiye

(1017) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shikwa Na Chahiye Ki Taqaza Na Chahiye In English By Famous Poet Asghar Gondvi. Shikwa Na Chahiye Ki Taqaza Na Chahiye is written by Asghar Gondvi. Read famous Poem Shikwa Na Chahiye Ki Taqaza Na Chahiye for youth and Student by Asghar Gondvi. Free Download Shikwa Na Chahiye Ki Taqaza Na Chahiye in PDF.