Bahar Ka Mahaul To Hum Ko Aksar Achchha Lagta Hai

bahar ka mahaul to hum ko aksar achchha lagta hai

sham se ek din ghar mein rah kar dekhen kaisa lagta hai

kis ki yaaden kis ke chehre ugte hain tanhai mein

aangan ki diwaron par kuchh saya saya lagta hai

jismon ke is jangal mein bas ek hi ram-kahani hai

ghaur se dekho to har chehra apna chehra lagta hai

mausam ki ayyash hawa ne kachche phal bhi toD liye

shaKH pe larzan patta patta sahma sahma lagta hai

dana dana dam laga hai jal bichha hai pani par

hae-re ye masum kabutar kitna bhola lagta hai

surKH parinda Dub raha hai kali jhil ke pani mein

sach kahna ai sahil walo tum ko kaisa lagta hai

sae ki ummid na rakhiye patthar ki chaTTanon se

bosida diwar ka saya phir bhi saya lagta hai

mahrumi ki taswiren bhi kitni dil-kash hoti hain

thak kar sone wale ko har KHwab sunahra lagta hai

uD ke parinde par na paen sham ko thak kar lauT aaen

'hosh' mujhe ye sara aalam ek jazira lagta hai

(653) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bahar Ka Mahaul To Hum Ko Aksar Achchha Lagta Hai In English By Famous Poet Asghar Mehdi Hosh. Bahar Ka Mahaul To Hum Ko Aksar Achchha Lagta Hai is written by Asghar Mehdi Hosh. Read famous Poem Bahar Ka Mahaul To Hum Ko Aksar Achchha Lagta Hai for youth and Student by Asghar Mehdi Hosh. Free Download Bahar Ka Mahaul To Hum Ko Aksar Achchha Lagta Hai in PDF.