Main Girta Hun

jab main KHwabon ki sath se girta hun

wo hanste hain

aur aasman ki bijli un ke danton mein phans jati hai

jab tis dinon ki siDhi se har mah main niche girta hun

wo hanste hain

aur un ke hath mein mere badan ki miTTi hai

jab kachchi siyahi aur qainchi se likhe hue aKHbar se niche girta hun

wo hanste hain

aur un ke hath mein mere nam ki kalghi hai

jab hawa aur dhup ke hath se chhuT ke girta hun

wo hanste hain

aur un ke hath mein mere dil ki pattiyan hain

jab mahbuba ke dhyan se niche girta hun

wo hanste hain

aur un ke hath mein meri aankh ka pani hai

jab main kitab ke sach aur din ke jhuT se niche girta hun

wo hanste hain

aur un ke hath mein meri umr ke safhe hain

main girta hun

aur un ko ye malum nahin

main bilkul aise girta hun ki

jaise pake hue phal mein se bij ka dana girta hai

main apni zamin pe bilkul aise girta hun

(747) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Girta Hun In English By Famous Poet Asghar Nadeem Sayed. Main Girta Hun is written by Asghar Nadeem Sayed. Read famous Poem Main Girta Hun for youth and Student by Asghar Nadeem Sayed. Free Download Main Girta Hun in PDF.