Mere Dil Mein Jangal Hai

mere dil mein jangal hai

aur us mein bheDiya rahta hai

jo raat ko meri aankhon mein aa jata hai

aur sare manzar kha jata hai

subh ko suraj apne pyale se shabnam Tapkata hai

aur din ka bachcha

meri ruh ke jhule mein rakh jata hai

mere dil mein jangal hai

aur us mein faKHta rahti hai

jo apne paron se mere liye

ek parcham bunti rahti hai

aur KHushbu se ek naghma likhti rahti hai

phir thak kar mere baalon mein so jati hai

mere dil mein jangal hai

aur us mein jogi rahta hai

jo mere KHun se apni sharab banata hai

aur apne sitar mein chhupi hui laDki ko

pas bulata hai

phir jangal bosa ban jata hai

mere dil mein jangal hai

aur is mein bhula-bhaTka zaKHmi shahzada hai

jis ka lashkar

KHun ki dhaar pe us ke pichhe aata hai

wo apne watan ke naqshe ko zaKHmon pe bandh ke

aaKHiri KHutba deta hai

phir mar jata hai

mere dil mein jangal hai

aur us mein gahri KHamoshi hai

(927) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Dil Mein Jangal Hai In English By Famous Poet Asghar Nadeem Sayed. Mere Dil Mein Jangal Hai is written by Asghar Nadeem Sayed. Read famous Poem Mere Dil Mein Jangal Hai for youth and Student by Asghar Nadeem Sayed. Free Download Mere Dil Mein Jangal Hai in PDF.