Ghubar Sa Hai Sar-e-shaKH-sar Kahte Hain

ghubar sa hai sar-e-shaKH-sar kahte hain

chala hai qafila-e-nau-bahaar kahte hain

badal gai hain jahan par wafa ki sab rasmen

ujaD gae hain dilon ke dayar kahte hain

is ek baat se gulchin ka dil dhaDakta hai

ki hum saba se hadis-e-bahaar kahte hain

ye hajw-e-mai to kisi maslahat se hai warna

faqih-e-shahr bhi hai baada-KHwar kahte hain

jise kabhi sar-e-mimbar na kah saka waiz

wo baat ahl-e-junun zer-e-dar kahte hain

'salim' saya-e-gul ho ki saKHti-e-zindan

junun hai shewa-e-mardan-e-kar kahte hain

(742) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghubar Sa Hai Sar-e-shaKH-sar Kahte Hain In English By Famous Poet Asghar Saleem. Ghubar Sa Hai Sar-e-shaKH-sar Kahte Hain is written by Asghar Saleem. Read famous Poem Ghubar Sa Hai Sar-e-shaKH-sar Kahte Hain for youth and Student by Asghar Saleem. Free Download Ghubar Sa Hai Sar-e-shaKH-sar Kahte Hain in PDF.