Gulshan Gulshan Shoala-e-gul Ki Zulf-e-saba Ki Baat Chali

gulshan gulshan shoala-e-gul ki zulf-e-saba ki baat chali

harf-e-junun ki band-e-giran ki jurm-o-saza ki baat chali

zindan zindan shor-e-junun hai mausam-e-gul ke aane se

mahfil mahfil ab ke baras arbab-e-wafa ki baat chali

ahd-e-sitam hai dekhen hum aashufta-saron par kya guzre

shahr mein us ke band-e-qaba ki rang-e-hina ki baat chali

ek ho diwana ek ne sar teshe se phoD liya

kaise kaise log the jin se rasm-e-wafa ki baat chali

TuT gain naghmon ki tanaben sher ke KHeme rakh hue

bazm-e-suKHan mein jab bhi 'salim' is shoala-nawa ki baat chali

(870) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gulshan Gulshan Shoala-e-gul Ki Zulf-e-saba Ki Baat Chali In English By Famous Poet Asghar Saleem. Gulshan Gulshan Shoala-e-gul Ki Zulf-e-saba Ki Baat Chali is written by Asghar Saleem. Read famous Poem Gulshan Gulshan Shoala-e-gul Ki Zulf-e-saba Ki Baat Chali for youth and Student by Asghar Saleem. Free Download Gulshan Gulshan Shoala-e-gul Ki Zulf-e-saba Ki Baat Chali in PDF.