Sukut-e-shab Ke Hathon Saunp Kar Wapas Bulata Hai

sukut-e-shab ke hathon saunp kar wapas bulata hai

meri aawargi ko mera ghar wapas bulata hai

main jab bhi daeron ko toD kar bahar nikalta hun

hawa ke na-tawan jhonke ka Dar wapas bulata hai

usi ke hukm par us ko main tanha chhoD aaya tha

KHuda jaane mujhe wo kyun magar wapas bulata hai

ishaare kar raha hai duriyon ka khaulta sagar

mujhe har sham ek andha safar wapas bulata hai

wo jin ki hijraton ke aaj bhi kuchh dagh raushan hain

unhi bichhDe parindon ko shajar wapas bulata hai

sulagti saaton ka KHauf ab kamzor hai shayad

wahi sahma hua dast-e-hunar wapas bulata hai

(729) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sukut-e-shab Ke Hathon Saunp Kar Wapas Bulata Hai In English By Famous Poet Ashar Najmi. Sukut-e-shab Ke Hathon Saunp Kar Wapas Bulata Hai is written by Ashar Najmi. Read famous Poem Sukut-e-shab Ke Hathon Saunp Kar Wapas Bulata Hai for youth and Student by Ashar Najmi. Free Download Sukut-e-shab Ke Hathon Saunp Kar Wapas Bulata Hai in PDF.