Humne Dekha Hai Itne KhanDar KHwab Mein

hum ne dekha hai itne khanDar KHwab mein

ab to lagta nahin hum ko Dar KHwab mein

apni barson se hai ek wahi aarzu

roz aa jae hai jo nazar KHwab mein

waqt aane pe sab ko ghashi aa gai

jo batate the KHud ko niDar KHwab mein

zulm ki aandhiyan baDh ke tufan huin

mast duniya hai par raat bhar KHwab mein

ishq ki ye masafat bhi kya KHub hai

chand tare hue rahguzar KHwab mein

un se hota hai har raat ahd-e-wafa

aur nibhate hain hum beshtar KHwab mein

roz o shab kho gae hain na jaane kahan

ab to hoti hai sham o sahar KHwab mein

jo bahut mo'tabar aa rahe hain nazar

un ke hote hain kar-e-digar KHwab mein

zindagi ki haqiqat ajab ho gai

aaj kal ho rahi hai basar KHwab mein

(788) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Humne Dekha Hai Itne KhanDar KHwab Mein In English By Famous Poet Ashhad Bilal Ibn-e-chaman. Humne Dekha Hai Itne KhanDar KHwab Mein is written by Ashhad Bilal Ibn-e-chaman. Read famous Poem Humne Dekha Hai Itne KhanDar KHwab Mein for youth and Student by Ashhad Bilal Ibn-e-chaman. Free Download Humne Dekha Hai Itne KhanDar KHwab Mein in PDF.