Ek Aansu Mein Tere Gham Ka Ahata Karte

ek aansu mein tere gham ka ahata karte

umr lag jaegi is bund ko dariya karte

ishq mein jaan se guzarna bhi kahan hai mushkil

jaan deni ho to aashiq nahin socha karte

ek tu hi nazar aata hai jidhar dekhta hun

aur aankhen nahin thakti hain tamasha karte

zindagi ne hamein fursat hi nahin di warna

samne tujh ko biTha baiTh ke dekha karte

hum saza-war-e-tamasha the hamein dekhna tha

apne hi qatl ka manzar tha magar kya karte

ab yahi sochte rahte hain bichhaD kar tujh se

shayad aise nahin hota agar aisa karte

jo bhi hum dekhte hain saf nazar aa jata

chashm-e-hairat ko agar dida-e-bina karte

shahr ke log ab ilzam tumhein dete hain

KHud bure ban gae 'asim' use achchha karte

(699) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Aansu Mein Tere Gham Ka Ahata Karte In English By Famous Poet Asim Wasti. Ek Aansu Mein Tere Gham Ka Ahata Karte is written by Asim Wasti. Read famous Poem Ek Aansu Mein Tere Gham Ka Ahata Karte for youth and Student by Asim Wasti. Free Download Ek Aansu Mein Tere Gham Ka Ahata Karte in PDF.