Guzar Chuka Hai Jo Lamha Wo Irtiqa Mein Hai

guzar chuka hai jo lamha wo irtiqa mein hai

meri baqa ka sabab to meri fana mein hai

nahin hai shahr mein chehra koi tar o taza

ajib tarah ki aaludgi hawa mein hai

har ek jism kisi zawiye se uryan hai

hai ek chaak jo maujud har qaba mein hai

ghalat-rawi ko teri main ghalat samajhta hun

ye bewafai bhi shamil meri wafa mein hai

mere gunah mein pahlu hai ek neki ka

jaza ka ek hawala meri saza mein hai

ajib shor machane lage hain sannaTe

ye kis tarah ki KHamoshi har ek sada mein hai

sabab hai ek hi meri har ek tamanna ka

bas ek nam hai 'asim' ki har dua mein hai

(744) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Guzar Chuka Hai Jo Lamha Wo Irtiqa Mein Hai In English By Famous Poet Asim Wasti. Guzar Chuka Hai Jo Lamha Wo Irtiqa Mein Hai is written by Asim Wasti. Read famous Poem Guzar Chuka Hai Jo Lamha Wo Irtiqa Mein Hai for youth and Student by Asim Wasti. Free Download Guzar Chuka Hai Jo Lamha Wo Irtiqa Mein Hai in PDF.