Ek Samundar Ek Kinara Ek Sitara Kafi Hai

ek samundar ek kinara ek sitara kafi hai

is manzar mein us ke alawa koi akela kafi hai

dene wala jholiyan bhar bhar deta hai to us ka karam

lene wale kab kahte hain data itna kafi hai

ek ghalat-andaz nazar se gulshan gulshan dagh jalen

shabnam shabnam rulwane ko ek hi jumla kafi hai

KHushk labon par pyas sajae bahr-e-asham nahin hain hum

hum jaison ko tishna-labi mein ek hi dariya kafi hai

ab to aur bhi duniyaen hain muntazir-e-arbab-e-hawas

un logon ka qaul nahin hai hum ko ye duniya kafi hai

shahr-e-wafa se dasht-e-junun tak chahe jitne marahil hun

wahshat ke to dusre ruKH par ek daricha kafi hai

husn-e-suKHan baqi rakhne ko kuchh ibham zaruri hai

kahte kahte ruk jaane mein hai jo ishaara kafi hai

us ke afsun us ke fasane donon ko mashur rakhen

aql-o-junun ki dahlizon par KHwab ka pahra kafi hai

ek sabha dil walon ki ek tan rasile logon ki

shahr ke raushan rakhne ko itna sa ujala kafi hai

(846) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Samundar Ek Kinara Ek Sitara Kafi Hai In English By Famous Poet Aslam Ansari. Ek Samundar Ek Kinara Ek Sitara Kafi Hai is written by Aslam Ansari. Read famous Poem Ek Samundar Ek Kinara Ek Sitara Kafi Hai for youth and Student by Aslam Ansari. Free Download Ek Samundar Ek Kinara Ek Sitara Kafi Hai in PDF.