Rasta Sunsan Tha To MuD Ke Dekha Kyun Nahin

rasta sunsan tha to muD ke dekha kyun nahin

mujh ko tanha dekh kar us ne pukara kyun nahin

dhup ki aaghosh mein leTa raha main umr bhar

mehrban tha wo to misl-e-abr aaya kyun nahin

ek panchhi der tak sahil pe manDlata raha

muztarib tha pyas se lekin wo utra kyun nahin

qurb ki qaus-e-quzah kamre mein bikhri thi magar

raat bhar rang-e-tamanna phir bhi nikhra kyun nahin

mujh ko patthar mein badalte chahe KHud ban jate wo mom

KHwahish-e-tifl-e-tamanna ko jagaya kyun nahin

us ko tanha pa ke 'aslam' raat apne room mein

qatra-e-KHun-e-hawas aaankhon mein aaya kyun nahin

(985) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rasta Sunsan Tha To MuD Ke Dekha Kyun Nahin In English By Famous Poet Aslam Azad. Rasta Sunsan Tha To MuD Ke Dekha Kyun Nahin is written by Aslam Azad. Read famous Poem Rasta Sunsan Tha To MuD Ke Dekha Kyun Nahin for youth and Student by Aslam Azad. Free Download Rasta Sunsan Tha To MuD Ke Dekha Kyun Nahin in PDF.