UDte Lamhon Ke Bhanwar Mein Koi Phansta Hi Nahin

uDte lamhon ke bhanwar mein koi phansta hi nahin

is samundar mein koi tairne wala hi nahin

salha-sal se viran hain dil ki galiyan

ek muddat se koi is taraf aaya hi nahin

aankh ke ghaar mein hain saikDon saDti lashen

jhank kar un mein kisi ne kabhi dekha hi nahin

dur tak phail gai TuTte lamhon ki KHalij

waqt ka saya mere sar se utarta hi nahin

silsila rone ka sadiyon se chala aata hai

koi aansu meri palkon pe Thaharta hi nahin

jalte aakash ki Dhalwan pe suraj ka wajud

ek pighalta hua lawa hai ki bujhta hi nahin

(645) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

UDte Lamhon Ke Bhanwar Mein Koi Phansta Hi Nahin In English By Famous Poet Aslam Azad. UDte Lamhon Ke Bhanwar Mein Koi Phansta Hi Nahin is written by Aslam Azad. Read famous Poem UDte Lamhon Ke Bhanwar Mein Koi Phansta Hi Nahin for youth and Student by Aslam Azad. Free Download UDte Lamhon Ke Bhanwar Mein Koi Phansta Hi Nahin in PDF.